Dil main har raaaz dabaa key rakhtay hein
Honton pay Muskaan sajaa key rakhtay hein..
ye duneeya sirff Khushee mein saath daytee hai..
iss liye hum apnay aansoo chupaaa kay rakhtey hein
Door chnad kahi jal raha ho ga
Kis ka dil machal raha ho ga
Uff yeh mera pairo mai chubhan kasi
Zaror mere koi apna kanto per chal raha ho ga
Dosti hoti hai dilke raaz batane ke liye,
hum apni hasti mitade aapko hasaneke ilye,
milneki aapko fursat hi nahi,
to hum sms karte hai tumhe apni yaad dilane ke liye ,
Duaoon main teri khoshi mangtay hain
Khaboon main teri hansi mangtay hain
Sochtay hain hum tum say kia mangain
Chalo umer bher ki DOSTI mangtay hain
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai,
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai
Kabhi na aya woh mere saath chal k.
Hamesha gaya mujy naraz kar k.
Mout par meri agar woh aya to keh dena k.
Abhi abhi soya hai tumhy yaad kar k.
Kabhi usko Hamari yadon ne staya hoga.
Ñam Üska likha Änkho me Änsuo ne Mitaya hoga.
Ghum ye Ñhi k Wo ßhÖl gaye hoge Humko.
Ghum ye hai k ßohat RoRo k ßhulaya hoga.
Milnaa ittafaaq thaa bichernaa naseeb thaa,
Woh itnaa door ho gayaa jitnaa Kareeb thaa,
Bastee key saaray log hi aatish parrast they,
Jaltaa rahaa mera gher aur samander Kareeb thaa
Muhabbat kaa ajeeb kaarobaar hum nay kia
Wo baywafa hai magar piyar hum nay kia
agar wo chor gaya tou mat kaho bura usko
Qasoor us ka nahi Eitabaar hum nay kiya!!
Musafir Toh Bichar Jate Hein Rafaqat Kub Badalti He.
Muhabbat Zinda Rehti He, Muhabbat Kub Badalti He.
Tumhi Ko Chahte Hein Aur Tumhi Se Pyar Karte Hein.
Ye He Barson Ki Adat Aur Adat Kub Badalti He.
Pathar ki hai Duneya, Jazbaat nai samajhti,
Dil main kya hai baat, wo baat nai samajhti,
Tanhaa tou chand bhi hai Sitaaron ke beech.
magar Chand ka Dard Baywafa Raat nahi Samajhti
Reh na pao gy kabhi bhula kar dekh lo,
Yakeen nahi ata to aazma kar dekh lo,
Har jaga mehsoos hogi kami humari,
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo.
Sab kuch hy mere pas par dil ki dawa nahi,
Door wo mujhse hy par main khafa nahi,
Malum hy ab b pyar karta hy mujhse,
Wo thora sa ziddi hy.magar bewafa nahi.
Uska shukria kuch is tarha se ada karon,
wo kare bewafai mai sada wafa karon,
meri dosti ne itna sikhaya hai mjhe,
khud mit jaon mager us ke liye dua karon.
Waqt kee aandhee main tufaan badal jatay hain,
Zindagi ki raahon main INSAAN badal jatay hain,
Badaltaa nahi PYAAR kabhi,
Pyaar karnay wale INSAAN badal jatay hain